Thursday, June 12, 2008

KAUN HO TUM??

Shayad raat ki panah mein jhil-milata sitara ho tum,

Ya showkh hawaon mein thandak ka ehsass ho tum.

Us rim-jhim behte jharne ki dhara ho tum,kudrat ka ek haseen nazara ho tum.

Chehakte pakshiyon ki madhur awaaz ho tum,

Ya bagiche mein felli khushboo ho tum.

Baarish ki pehli bundoon ka haseen sparsh ho tum,

Us chaand ki chandni se bhi zyadaa khubsurat ho tum.

Ek kavi ki koi rachna, ya kisi kalakar ki kala ho tum,

Ek shilpkar ki koi tammana , ya kisi chitarkar ki koi kalpana ho tum.

Ab jo bhi ho bas itna jaan lo.......Is dhadkte dil ki JAAN ho tum.

No comments: